husn alfaz ke paikar mein agar aa sakta kaisa hota hai khuda tum ko main dikhla sakta is safar pe hun ki halkan hua jata hun aur kahan jaana hai ye bhi nahin batla sakta haarna bhi hai yaqini pe meri fitrat hai ek hi chaal hamesha nahin dohra sakta zindagi ab tu mujhe aur khilaune la de aaise khwabon se to main dil nahin bahla sakta main bhi taqdir ke likkhe pe yaqin le aata waqt ek bar jo us se mujhe milwa sakta