husn-e-butan ka ishq meri jaan ho gaya ye kufr ab to hasil-e-iman ho gaya ai zabt-e-dil ye kaisi qayamat guzar gai diwangi mein chaak gareban ho gaya wo ban sanwar ke phir meri mahfil mein aa gae baithe-bithae hashr ka saman ho gaya kar ke singhaar aae wo aisi ada ke sath aaina un ko dekh kar hairan ho gaya dekha jo us sanam ko to mahsus ye hua jalwa khuda ka surat-e-insan ho gaya sab mera ishq dekh ke lete hain tera nam main bhi tere jamal ki pahchan ho gaya puja karenge us ki 'fana' hum tamam umr wo but hamare waste bhagwan ho gaya