koi an-dekhi faza taswir karna chahiye khwab ki buniyaad par tamir karna chahiye main bhatakta phir raha hun wahimon ke darmiyan gard lipti ruh ki tathir karna chahiye jin dinon diwangi thahri hui ho zat mein ek duniya un dinon taskhir karna chahiye jis sada mein sau tarah ke rang jhilmil karte hon wo sada har haal mein taswir karna chahiye jald-bazi de gai hai rat-jagon ke silsile faisle mein thodi si takhir karna chahiye ab bagule mujh mein hain aur main bagulon mein 'khayal' dasht mein diwangi zanjir karna chahiye