husn-e-na-mumkin ko honton ne chhua phir kya hua apni be-rabti pe dil uljha raha phir kya hua raat din milte rahe aflak ke sae tale raat aur din mein wahi parda raha phir kya hua jhut ko sach par fazilat hi rahi barson ke baad dusron ne sach ko bhi sachcha kaha phir kya hua garm tha bazar-e-hasti sau jatan ke bawajud ruh ka ya jism ka sauda hua phir kya hua aaj us ko ho na ho raste mein milna hai zarur raat us ne khwab mein parda kiya phir kya hua umr bhar chalti rahi duniya-e-hijran par dhanak jagti aankhon mein ek sapna raha phir kya hua un ko ab meri kahani mein ye dilchaspi hai kyon han mujhe is daur ne thukra diya phir kya hua phal gire patte gire aai gai fasl-e-bahaar sab ne puchha kya hua dil ne kaha phir kya hua