talkhi-e-mai talkhi-e-haalat ki tauhin hai nashshe mein sach bolna sach baat ki tauhin hai gar nahin hai aaina patthar utha lo dosto yunhi khali hath phirna hath ki tauhin hai aadmi hi aadmi se baat karta hai janab baat karne mein bhala kis baat ki tauhin hai aap ne taswir khinchwai madad karte hue ye to kar-e-khair ki khairaat ki tauhin hai pas baithe dur takna wo bhi khamoshi ke sath ye to hanste bolte lamhat ki tauhin hai dil pe chhana aur aankhon mein na aana baadalo ye to sawan ki hatak barsat ki tauhin hai bais-eazaz hai dariya mein milna qatre ka kaun kahta hai mohabbat zat ki tauhin hai