husn-e-surat dekh kar rang-e-tabiat dekh kar mahw-e-hairat hun sawad-e-bazm-e-ghurbat dekh kar mujh se puchhe raaz ki baaten mujhe malum hain kyun pareshan ho koi nairang-e-fitrat dekh kar waqia hai waqia ahl-e-nazar se puchhiye husn bhi hairat mein hai shan-e-mohabbat dekh kar tez-gami muqtaza-e-josh-e-ulfat hi sahi lekin ai rahraw nuqush-e-rah-e-ulfat dekh kar ai watan subh-e-watan sham-e-watan ahl-e-watan yaad aati hai tumhaari dasht-e-ghurbat dekh kar mere saqi tere qurban kya kahun kis se kahun zarf-e-mai-kash dekh kar rang-e-tabiat dekh kar be-khudi mein bhi khayal-e-husn-e-khuddari rahe naghma-zan ho 'raaz' rang-e-bazm-e-ghurbat dekh kar