khud ko hujum-e-dahr mein khona pada mujhe jaise the log waisa hi hona pada mujhe dushman ko marte dekh ke logon ke samne dil hans raha tha aankh se rona pada mujhe kuchh is qadar the phul zamin par khile hue taron ko aasman mein bona pada mujhe aisi shikast thi ki kati ungliyon ke sath kanton ka ek haar pirona pada mujhe kari nahin tha war magar ek umr tak aab-e-namak se zakhm ko dhona pada mujhe aasan nahin hai likhna gham-e-dil ki wardat apna qalam lahu mein dubona pada mujhe itni tawil o sard shab-e-hijr thi 'nasim' kitni hi bar jagna sona pada mujhe