ilahi khair badh jae na shorida-sari apni dikhata hai mera josh-e-junun diwangi apni ye meri iztirab-e-shauq ki afzuniyan tauba badhi jati hai paiham jaane kyon aashuftagi apni kabhi tadpa kabhi roya kabhi dil tham kar uttha kisi kal baithne deti nahin hai bekali apni firaq-e-yar mein do chaar aansu gar baha dete bujha lete hum in ashkon se shayad tishnagi apni bahaar-e-husn ke jalwe meri aankhon mein rahte hain chaman-andoz rahti hai nigah-e-ashiqi apni kisi ke nargisi saghar ka nashsha chha gaya dil par khirad ke hosh gum hain badh gai hai be-khudi apni shabab-e-husn ki shokhi junun dar-parda lai hai to aakhir-kar badh jae na kyon waraftagi apni na jaane kis ki barq-e-husn ne barbaad kar dala ki badhti ja rahi hai dam-ba-dam diwangi apni mera charcha zamane ke adibon mein 'faza' hoga kisi din rang laegi jahan mein shaeri apni