husn hai dad-talab shikwa-e-bedad na kar

husn hai dad-talab shikwa-e-bedad na kar
ishq ki fath isi mein hai ki fariyaad na kar

hai agar himmat-e-parwaz to ai murgh-e-asir
taer-e-ruh ko minnat-kash-e-sayyaad na kar

tishna-e-lazzat-e-gham hai dil-e-pur-dard hunuz
tu abhi tark-e-sitam ai sitam-ijad na kar

ham-nashin apne muqaddar ki shikayat karke
meri ranai-e-afkar ko barbaad na kar

tujh ko sayyaad mere zauq-e-asiri ki qasam
chhod de ham-qafason ko mujhe aazad na kar

wo na aae hain na aaenge palat kar 'maikash'
aise guzre hue lamhat ko ab yaad na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close