husn ho mera dil-nawaz husn ki dil-nawaz main mere uthaen naz wo us ke uthaun naz main kaun hun aur kya hun main koi na ye samajh saka bazm-e-jahan mein aate hi ban gai ek raaz main husn mein aur ishq mein kaise nibhegi ai khuda husn jafa-shiar hai aur wafa-nawaz main mere shab-e-firaq mein kash ajal ho mehman phir to tilism-e-zindagi khol dun tera raaz main khugar-e-gham jo ho gai is mein mera qusur kya aap ne gham diye mujhe ban gai gham-nawaz main aaj wo mast-e-naz jo dil mein hua hai mehman ab ye jigar ko rashk hai banta harim-e-naz main tujh mein chhupi hui hun main mujh mein chhupa hua hai tu saz jo tu hai naghma main naghma jo tu hai saz main ban ke mitun to han mitun husn-e-shah-e-hijaz par mit ke agar banun to hun khak-e-rah-e-hijaz main hech meri nigah mein daulat-e-kaenat hai kyunki azal ke din se hun banda-e-be-niyaz main