qalam se rabta-e-rang-o-ab tut gaya kisi musawwir-e-fitrat ka khwab tut gaya ye dil ki sang na tha ek aabgina tha na la saka tere jalwon ki tab tut gaya sawal ye hai ki main ne kisi se kya paya jawab ye hai ki barson ka khwab tut gaya hua wo mujh se mukhatab to yun laga jaise koi sitara-e-gardun-rikab tut gaya usul-e-amad-o-raft-e-bahaar kya kahiye kali jo shakh pe aai gulab tut gaya ghazal ke sher jo ruswa-e-intikhab hue bharam nazar ka pas-e-intikhab tut gaya rah-e-hawas mein thi hail zamir ki aawaz magar taqaddus-e-ahd-e-shabab tut gaya