uf kya maza mila sitam-e-rozgar mein kya tum chhupe the parda-e-lail-o-nahaar mein sau sajde ek laghzish-e-mastana-war mein allah kya ada hai tere baada-khwar mein rokun to mauj-e-gham ko dil-e-be-qarar mein saghar chhalak na jae kaf-e-rasha-dar mein kis se ho phir ummid ki tar-e-nazar mera khud ja ke mil gaya saf-e-mizhgan-e-yar mein khud husn be-niyaz nahin faiz-e-ishq se khu mere dil ki hai nigah-e-be-qarar mein wo mast-e-naz husn main sarshaar-e-arzu wo ikhtiyar mein hain na main ikhtiyar mein aashob-e-iztirab mein khatka jo hai to ye gham tera mil na jae gham-e-rozgar mein baqi raha na koi gila waqt-e-wapsin kya kah gae wo ek nigah-e-sharmsar mein ek mashq-e-iztirab ka rakkha hai nam ishq uf bekasi ki wo bhi nahin ikhtiyar mein bazm-e-sukhan mein aag laga di 'suhail' ne kya bijliyan thin khama-e-jadu-nigar mein