husn jitna hi sada hota hai gesu-e-na-kushada hota hai jab kabhi shaghl-e-baada hota hai ek aalam ziyaada hota hai jab wo aate hain zindagi ke qarib dil bhi dur-uftada hota hai kya khabar ye fashurda-e-angur kitna khun ho ke baada hota hai un ka jalwa na dur hai na qarib nur hai kam ziyaada hota hai husn hota hai sada-o-rangin ishq rangin-o-sada hota hai gungunata hun fursaton mein 'nushur' sher tanhai-zada hota hai