nam hamara duniya wale likhenge ji-daron mein nach rahe hain apni apni lash pe hum bazaron mein ek purani rasm hai baqi aaj talak darbaron mein chand se chehre chun dete hain patthar ki diwaron mein aaj kahan hain shahr mein yaro unchi gardan wale log aam hain ab to panw bade aur sar chhote sardaron mein par utarne walon ko ab diwanon mein ginte ho shayad khush-qismat the wo jo dub gae manjdhaaron mein kya malum koi chingari jag uthe aur chikh pade behtar hai tum hath na dalo in bujhte angaron mein war pe war sahe hain lekin ek lahu ki bund nahin jism hain sare patthar ke ya kat nahin talwaron mein kanch ke ye chamkile tukde aakhir khun rulate hain dil se sachchi chiz na banto un jhute dil-daron mein kaun tumhaara dard batae kis ko itni fursat hai nam 'rashid' tum apna likh lo khud apne gham-khwaron mein