mil jae gham-e-jaanan jis ko kuchh us ko gham-o-alam nahin ye gham hai wo gham jis se badh kar duniya mein koi aaram nahin aaram se hum ko kya nisbat hai azm jawan aala himmat manzil pe pahunch kar dam lenge ya subh nahin ya sham nahin mai-nosh to hun madhosh nahin ye bhi to hai pas-e-husn-e-adab mahfil mein hai jam-o-mina bhi gardish mein magar gulfam nahin hum ahl-e-junun ki mahfil mein kuchh ahl-e-khirad bhi hain lekin wo hosh ki baaten karte hain yan hosh ka koi kaam nahin maqdur ka sab ko milta hai kyon fikr karen is ki 'khalid' han fikr-e-abad to lazim hai taqdir pe ye ilzam nahin