in pe rashk aata hai ye log hain qismat wale

in pe rashk aata hai ye log hain qismat wale
rah mein teri mite teri mohabbat wale

tere hi gham mein mare teri mohabbat wale
pak dil le ke gae pak tabiat wale

khae lete hain abas jaan nasihat wale
ishq se baz na aaenge mohabbat wale

us ke saudaiyon ko nam-o-nishan se matlab
be-nishan log hain ye ishq-o-mohabbat wale

manzil-e-ishq mein aate hi hue khak-basar
mit gae mitne se pahle hi mohabbat wale

aa gaya bar-e-nazar se araq in galon par
ye hain wo hum jinhen kahte hain nazakat wale

na hamein shahon se matlab na amiron se gharaz
hum hasinon ke hain bande ye hain daulat wale

dar par chadh ke bhi mansur ki masti na gai
kalima padhte hain usi mast ka sab matwale

tere qamat pe hai zeba wahi atlas ki qaba
apni surat na badal chand si surat wale

wo jidhar jata hai chillati hai yun khalq-e-khuda
dekhta ja idhar o chand si surat wale

ye mere urs ki shab hai ki urusi ki hai raat
hain hasinan-e-gul-andam ziyarat wale

ya khuda wasl kabhi hoga nasib us but ka
hum se kam-bakht bhi kahlaenge qismat wale

mere ghar aaya jo wo mehr-e-munir ai 'akbar'
mujh se kahta hai ki ab to hue qismat wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close