kabhi marhalat-e-hayat mein koi ham-nawa hi nahin mila ab is ittifaq ko kya kahun mujhe aasra nahin mila jo tere qadam ka jawab ho jo tere jamal ka aks ho mujhe aisa manzil-e-shauq mein koi naqsh-e-pa hi nahin mila kai raaz-dar-e-butan bhi the kai raazdar-e-haram bhi the mere ishtiyaq-e-nigah ko sanam-ashna hi nahin mila koi muttaqi koi parsa koi rind koi junun-ada ye sabhi mile hain mujhe magar koi be-khata hi nahin mila rah-e-marhalat-e-khulus mein mere dil se teri nigah tak mujhe jazb-e-shauq ke ma-siwa koi rahnuma hi nahin mila ye badi ajib si baat hai ki talluqat-e-hayat mein mujhe khud-numa to mile magar koi rahnuma hi nahin mila wo junun-maqam-o-junun-ada wo tumhaara 'basit'-e-ba-wafa magar us ka ham-sar-o-ham-nawa koi dusra nahin mila