lachakti shakh pe jab bhi nai kali aai udas phulon ko be-sakhta hansi aai sawal ye nahin ahd-e-wafa kiya us ne sawal ye hai mohabbat mein kyon kami aai hasin daur jawani ka jab ganwa baithe mizaj-e-ishq mein tab ja ke pukhtagi aai hazar tark-e-talluq kiya hai us ne magar mere khulus mein ab tak na kuchh kami aai gham-e-jahan mein hue mubtala to ai 'ambar' hansi mili na hamein ras phir khushi aai