ishq ke bab mein kirdar hun diwane ka main na aaghaz na anjam hun afsane ka kuchh nahin naqd-e-junun apna ba-juz dagh-e-alam yun to har zarra guhar-tab tha virane ka husn bhi kahte hain tanwir-e-nazar ko kuchh log shama bhi nam hai us bazm mein parwane ka shukr hai teri talab juzw-e-alam hai warna mujh mein tha hausla jine ka na mar jaane ka chahe jitna bhi tujhe dekh ke masrur ho dil tu hi unwan hai gham-e-zist ke afsane ka mushkil-e-ishq ko aasan karo tum hi 'naim' eatibar is mein hai apne ka na begane ka