kabhi bulao, kabhi mere ghar bhi aaya karo yahi hai rasm-e-mohabbat, ise nibhaya karo tumhaare jism ke ashaar mujh ko bhate hain meri wafa ki ghazal tum bhi gungunaya karo tumhaare wasl ki raaton ki lazzaton ki qasam mujhe judai ke manzar na ab dikhaya karo qarib aao, in aankhon ki justuju dekho hayat ban ke mere sath jagmagaya karo sharif-zadon ki beja khataon se milne yatim-khanon ke bachchon se milne jaya karo hamare hisse mein man ki duaen aain 'kanwal' tum apne hisse ki daulat se ghar sajaya karo