husn ki lai hui ek bhi aafat na gai dil ki dhadkan na gai dard ki shiddat na gai saya tak bhag gaya dekh ke wahshat ghar ki kya bala hai ki ilahi shab-e-furqat na gai husn-e-dilkash ise kahte hain ki hum sari umr un ko dekha kiye didar ki hasrat na gai ab bhi is rahguzar mein hai jahan thi pahle sach to ye hai na kahin aai qayamat na gai main zamane mein hun aaina-e-taswir 'jalil' ki tasawwur se kabhi yar ki surat na gai