husn ki riten ishq ki rasmen chhote bachche kya jaanen shokh adaen mubham baaten chhote bachche kya jaanen sair hue to hans lete hain bhuk lagi to rote hain subh-e-bahaaran bhigi raaten chhote bachche kya jaanen koh samundar sahra jangal khub samajh lete hain lekin kaisi zalim hain ye khalaen chhote bachche kya jaanen sachchai hai in ka mazhab apni khata bhi kah lete hain jhut ghaban dhoke ki rahen chhote bachche kya jaanen pariyon ke afsane sun kar shahzade ban baith gae talkh haqaeq waqt ki shaklen chhote bachche kya jaanen lori se 'ejaz' wo aksar apna ji bahlate hain git ghazal qite aur nazmen chhote bachche kya jaanen