kahan hai apni manzil aur kise manzil samajhte hain

kahan hai apni manzil aur kise manzil samajhte hain
na itna hosh hai hum ko na ye ai dil samajhte hain

mohabbat mein kise aasan kise mushkil samajhte hain
na itni hai samajh hum mein na ye ai dil samajhte hain

shab-e-gham ki musibat mein hamare kaam aata hai
khayal-e-yar ko hum mehrban-e-dil samajhte hain

talash-e-yar mein kyon dar-ba-dar ki khak hum chhanen
hum apne khana-e-dil ko teri manzil samajhte hain

tumhaare husn-e-dilkash par mite jate hain diwane
na jaan ko jaan samajhte hain na dil ko dil samajhte hain

kuchh aisi raushni hoti hai un ki sham-e-furqat mein
hum apne dil ke daghon ko mah-e-kaamil samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close