wo hum se aaj bhi daman-kashan chale hai miyan kisi pe zor hamara kahan chale hai miyan jahan bhi thak ke koi karwan thaharta hai wahin se ek naya karwan chale hai miyan jo ek samt guman hai to ek samt yaqin ye zindagi to yunhi darmiyan chale hai miyan badalte rahte hain bas nam aur to kya hai hazaron sal se ek dastan chale hai miyan har ek qadam hai nai aazmaishon ka hujum tamam umr koi imtihan chale hai miyan wahin pe ghumte rahna to koi baat nahin zamin chale hai to aage kahan chale hai miyan wo ek lamha-e-hairat ki lafz sath na den nahin chale hai na aise mein han chale hai miyan