in donon ghar ka khana-khuda kaun ghair hai shaikh-e-haram abas the inkar-e-dair hai ai yar-e-be-khabar tu meri le na le khabar wird-e-zaban tera hi mujhe zikr-e-khair hai ghibat mein kya talluq use yaad se meri kuchh kaam us ka atka bhala mujh baghair hai parwa hai kab use mere rafa-e-malal se gah shaghil-e-shikar kabhi gasht-e-sair hai be-wajh kya hain hum se ye be-ruiyan teri kya hum mein aur tujh mein kisi ru se bair hai insan rakkhe ishq ki nisbat se imtiyaz yun qaid-e-khwab-o-khur mein to har wahsh wa tair hai apni gali mein dekh ke 'hasrat' ko bola yar chal ja pare ho dur agar teri khair hai