iltifat-e-ishq se jab husn kaamil ho gaya har tamanna ka mujhe ehsas mushkil ho gaya hote hote bais-e-barbaadi-e-dil ho gaya parde hi parde mein us ka husn kaamil ho gaya yun naqab-e-rukh ulat di us ne bazm-e-naz mein koi diwana hua aur koi ghafil ho gaya us ki hasti us ki masti us ka lutf-e-iztirab jis ke dil mein tera dard-e-shauq shamil ho gaya ab ba-juz tufan-e-gham kuchh bhi nazar aata nahin kya meri nazron mein pinhan mera sahil ho gaya uf wo duzdida nigahen aah un ka iltifat ek nazuk tir tha main jis se ghail ho gaya 'dard' rahat mil rahi hai iztirab-e-shauq mein kya meri betabiyon mein wo bhi shamil ho gaya