husn mein naz-o-ada ishq mein wahshat kaisi is zamane mein wafa kaisi mohabbat kaisi talkh baaton pe khamoshi bhi bada azm hai par galiyan sun ke dua de wo sharafat kaisi log ghaalichon pe sajde se bhi katraate hain tegh ke sae mein karte the ibaadat kaisi ahd-e-khush-haali ka matlab hi liya ayyashi ab agar tut gae ho to shikayat kaisi koi bola hai ki shadan hai kisi ka ho kar ho mujhe ranj wo khush hai to mohabbat kaisi umr bhar tifl-e-tabiat ko shararat sujhi waqt-e-akhir ye jagi khwahish-e-jannat kaisi maskan-e-amn-o-aman tha ye watan 'nazr' mera aaj barpa hai har ek samt qayamat kaisi