meri dagar se bhi ek din guzar ke dekh zara ai aasman zamin par utar ke dekh zara dhadakne lagte hain diwar-o-dar bhi dil ki tarah ki sang-o-khisht mein kuchh sans bhar ke dekh zara har ek aib hunar mein badal bhi sakta hai hisab apne gunahon ka kar ke dekh zara tu chup rahega tere hath-paon bolenge yaqin na aae to ek roz mar ke dekh zara uthe jidhar bhi nazar raushni udhar jae karishme kaise hain us ki nazar ke dekh zara masiha ho ke bhi hota nahin masiha koi tu zakhm zakhm kisi din bikhar ke dekh zara khamoshiyon ko bhi 'talib' zaban hai ki nahin sukut-e-dariya ke andar utar ke dekh zara