husn-o-ulfat sath hain aaghaz se anjam tak mera afsana suna jaega tere nam tak zindagi ki talkhiyan hain gardish-e-ayyam tak lala-o-gul ka tabassum hai chaman mein sham tak kya khabar parda-ba-parda kitne jalwe hain nihan chashm-e-zahir-bin ne dekha un ko husn-e-am tak jin ke paimane bhare hain un pe kya tera karam lutf to saqi hai jab bhar jaen khali jam tak jis ne jine ka irada kar liya wo ji gaya us se katra kar chali hai gardish-e-ayyam tak ban gae shaikh-o-barahman malik-e-dair-o-haram faiz-e-mai-khana magar jari hai khas-o-am tak sans lena to nahin koi dalil-e-zindagi zindagi kaisi nahin ab zindagi ka nam tak husn ki pahli nazar hi dil ki duniya kho gai lut gae aaghaz mein dekha nahin anjam tak ab to saqi azmat-e-mai-khana tere hath hai gardish-e-ayyam aa pahunchi hai daur-e-jam tak mai-kada ka haal kuchh ho chashm-e-saqi kuchh kahe hai surahi tak nazar 'arif' kisi ki jam tak