tujhe kaise ilm na ho saka badi dur tak ye khabar gai tere shahr hi ki ye shaera tere intizar mein mar gai koi baaten thin koi tha sabab jo main wada kar ke mukar gai tere pyar par to yaqin tha main khud apne aap se dar gai wo tere mizaj ki baat thi ye mere mizaj ki baat hai tu meri nazar se na gir saka main teri nazar se utar gai hai khuda gawah tere bina meri zindagi to na kat saki mujhe ye bata ki mere bina teri umr kaise guzar gai wo safar ko apne tamam kar, gai raat aaenge laut kar ye 'nasim' main ne suni khabar to main sham hi se sanwar gai