khub thin mai-kade ki fazaen rah gain chhat ke gham ki ghataen maut imdad ko aa chuki hai un se kah do ki wo ab na aaen shoala-e-husn se kya bachega daman-e-dil ko hum kya bachaen hashr dhati hai jumbish nazar ki fitna-gar hain kisi ki adaen sochte hain ki us bewafa ko yaad rakkhen ki hum bhul jaen hadsat-e-jahan tauba tauba uth gain hain jahan se wafaen dil mein aabaad hai ek duniya aap mahrumiyon par na jaen gosha-e-dil se 'parwez' ab tak aa rahi hain kisi ki sadaen