husn par dastaras ki baat na kar ye hawas hai hawas ki baat na kar puchh agle baras mein kya hoga mujh se pichhle baras ki baat na kar ye bata haal kya hai lakhon ka mujh se do chaar das ki baat na kar ye bata qafile pe kya guzri mahaz bang-e-jaras ki baat na kar ishq-e-jaan aafrin ka haal suna husn-e-isa nafas ki baat na kar ye bata 'arsh' soz hai kitna saz par dastaras ki baat na kar