husn walon ki tabiat se haya nikli hai ishq ki khak se khushbu-e-wafa nikli hai sans nikli hai to kam-bakht qaza nikli hai maut ki kokh se jine ki dawa nikli hai chahe aaram de taklif de us ka beta man ke dil se to hamesha hi dua nikli hai chhod kar apne har-ik kaam ko nikle bahar jab bhi masjid se moazzin ki sada nikli hai khanqahon pe barasti hai ki mai-khanon par baith kar dosh-e-hawa par jo ghata nikli hai jis ko samjha tha masiha tere bimaron ne us ki jholi se abhi naqli dawa nikli hai ek duniya hui aakhir ko munawwar 'qaisar' kamli wale ke madine se ziya nikli hai