kabhi to ishq mein aisi ghaDi bhi aati hai

kabhi to ishq mein aisi ghadi bhi aati hai
sukun milta hai gham se khushi rulati hai

ye kis maqam se aakhir tujhe pukarta hun
meri sada meri jaanib hi laut aati hai

junun ho aql-o-khirad se hazar begana
teri kashish to diwane ko khinch lati hai

main shahr chhod ke sahra mein ja raha hun suno
kahan ki mitti hai mujh ko kahan bulati hai

ai zindagi tujhe rahna hai mere sath to phir
nigahen chaar kar aankhon ko kyon churaati hai

tumhaare husn ki masumiyat are tauba
khuda ki shan hai jo aaqibat bachati hai

shahid-e-naz ne khun-e-jigar se ghusl kiya
magar gulab ki khushbu kafan se aati he


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close