meri hasti faza-e-hairat aabaad-e-tamanna hai jise kahte hain nala wo usi aalam ka anqa hai khizan kya fasl-e-gul kahte hain kis ko koi mausam ho wahi hum hain qafas hai aur matam baal-o-par ka hai wafa-e-dilbaran hai ittifaqi warna ai hamdam asar fariyaad-e-dil-ha-e-hazin ka kis ne dekha hai na lai shokhi-e-andesha tab-e-ranj-e-naumidi kaf-e-afsos milna ahd-e-tajdid-e-tamanna hai na sowe aablon mein gar sirishk-e-dida-e-nam se ba-jaulan-gah-e-naumidi nigah-e-ajizan pa hai ba-sakhti-ha-e-qaid-e-zindagi malum aazadi sharar bhi said-e-dam-e-rishta-e-rag-ha-e-khara hai taghaful-mashrabi se na-tamami bas-ki paida hai nigah-e-naz chashm-e-yar mein zunnar-e-mina hai tasarruf wahshiyon mein hai tasawwur-ha-e-majnun ka sawad-e-chashm-e-ahu aks-e-khal-e-ru-e-laila hai mohabbat tarz-e-paiwand-e-nihaal-e-dosti jaane dawidan resha san muft-e-rag-e-khwab-e-zulekha hai kiya yak-sar gudaz-e-dil niyaz-e-joshish-e-hasrat suwaida nuskha-e-tah-bandi-e-dagh-e-tamanna hai hujum-e-rezish-e-khun ke sabab rang ud nahin sakta hina-e-panja-e-saiyyaad murgh-e-rishta bar-pa hai asar soz-e-mohabbat ka qayamat be-muhaba hai ki rag se sang mein tukhm-e-sharar ka resha paida hai nihan hai gauhar-e-maqsud jeb-e-khud-shanasi mein ki yan ghawwas hai timsal aur aaina dariya hai azizo zikr-e-wasl-e-ghair se mujh ko na bahlao ki yan afsun-e-khwab afsana-e-khwab-e-zulaikha hai tasawwur bahr-e-taskin-e-tapidan-ha-e-tifl-e-dil ba-bagh-e-rang-ha-e-rafta gul-chin-e-tamasha hai ba-sai-e-ghair hai qat-e-libas-e-khana-virani ki naz-e-jada-e-rah rishta-e-daman-e-sahra hai