kisi ki tham kar ungli idhar jate udhar jate

kisi ki tham kar ungli idhar jate udhar jate
hamare pas ghar hota to hum bhi apne ghar jate

agar tum hath rakh dete meri aankhon ki larzish par
meri be-rang duniya mein bala ke rang bhar jate

khuda rakkhe udasi ne hamein bakhshi hai yakjai
khushi ka shor sun lete to pal bhar mein bikhar jate

hamare sath aati thi gali ke tisre ghar tak
udasi ghar mein aa jati to jaane hum kidhar jate

kabhi duniya kabhi dariya kabhi sanson ne koshish ki
mohabbat hath rakh deti to hum hairat se mar jate

na hum lahron ke parwarda na hum kashti ke shaidai
jahan naddi utar jati wahin hum bhi utar jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close