iblagh ke badan mein tajassus ka silsila tuta hai chashm-e-khwab mein hairat ka aaina jo aasman ban ke musallat saron pe tha kis ne use zamin ke andar dhansa diya bikhri hain pili ret pe suraj ki haddiyan zarron ke intizar mein lamhon ka jhumna ehram tutte hain kahan sang-e-waqt ke sahra ki tishnagi mein abul-haul hans pada ungli se us ke jism pe likkha usi ka nam phir batti band kar ke use dhundta raha shiryanen khinch ke tut na jaen tanaw se mitti pe khul na jae ye darwaza khun ka maujen thin shoalagi ke samundar mein tund-o-tez main raat bhar ubharta raha dubta raha alfaz ki ragon se maani nichod le fasid mawad kaghzi ghode pe dal aa