jalne lage khala mein hawaon ke naqsh-e-pa suraj ka hath sham ki gardan pe ja pada chhat par pighal ke jam gai khwabon ki chandni kamre ka dard hanpte sayon ko kha gaya bistar mein ek chand tarasha tha lams ne us ne utha ke chae ke cup mein dubo diya har aankh mein thi tutte lamhon ki tishnagi har jism pe tha waqt ka saya pada hua dekha tha sab ne dubne wale ko dur dur pani ki ungliyon ne kinare ko chhu liya aaegi raat munh pe siyahi male hue rakh dega din bhi hath mein kaghaz phata hua