junun ke josh mein jis ne mohabbat ko hunar jaana subukdoshi samajhta hai wo is sauda mein sar jaana kisi ka naz tha andaz tha ab sar-ba-sar jaana udhar chadhna nigahon mein idhar dil mein utar jaana tasawwur khal-o-ariz ka tamasha-e-do-alam hai yahan aankhon mein rahna hai wahan dil mein utar jaana junun-e-ishq mein kab tan-badan ka hosh rahta hai badha jab josh-e-sauda hum ne sar ko dard-e-sar jaana hawas-bazi nahin ye ishq-bazi hai khuda shahid mohabbat mein hai shart-e-awwalin ji se guzar jaana mitai apni hasti hum ne ishq-e-jaan-e-jaanan mein fana mein dekh kar rang-e-baqa ko mo'tabar jaana sarapa-e-wafa ek zinda-e-jawed o be-gham hai takalluf-bartaraf gham kya hai jina aur mar jaana hamari umr ka paimana ab labrez hai 'sahir' chhalakna farz ho jata hai paimane ka bhar jaana