ji mein rah jae jaan mein rah jae koi surat guman mein rah jae ishq wo hai jo dagh-dar kare dard wo jo nishan mein rah jae aag aisi ho aaina chhalke rang aisa ho dhyan mein rah jae khushbu aisi ho rasta roke aur badan imtihan mein rah jae qurb aisa ho jism pighla de aanch is nim-jaan mein rah jae khak aisi udaun qadmon se hadisa aasman mein rah jae phul aisa khile jo khilta rahe aur khushbu chatan mein rah jae khwab aisa ho aankh khulne par zaiqa sa zaban mein rah jae qamat aisi ho is qayamat ki sirf luknat bayan mein rah jae zakhm aisa kabhi lage dil par raushni itr-dan mein rah jae wahshat aisi jo dar-ba-dar ghume dasht wo jo makan mein rah jae karwat aisi ki silwaten pad jaen siski aisi jo kan mein rah jae fasla ho tawil sa aur phir ghar kahin darmiyan mein rah jae