idhar aa kar shikar-afgan hamara mushabbak kar gaya hai tan hamara gareban se raha kotah to phir hai hamare hath mein daman hamara gae jon shama us majlis mein jitne sabhon par haal hai raushan hamara bala jis chashm ko kahte hain mardum wo hai ain-e-bala maskan hamara hua rone se raaz-e-dosti fash hamara girya tha dushman hamara bahut chaha tha abr-e-tar ne lekin na minnat-kash hua gulshan hamara chaman mein hum bhi zanjiri rahe hain suna hoga kabhu shewan hamara kiya tha rekhta parda-sukhan ka so thahra hai yahi ab fan hamara na bahke mai-kade mein 'mir' kyunkar giro sau ja hai pairahan hamara