milti hai khu-e-yar se nar iltihab mein kafir hun gar na milti ho rahat azab mein kab se hun kya bataun jahan-e-kharab mein shab-ha-e-hijr ko bhi rakhun gar hisab mein ta phir na intizar mein nind aae umr bhar aane ka ahd kar gae aae jo khwab mein qasid ke aate aate khat ek aur likh rakhun main jaanta hun jo wo likhenge jawab mein mujh tak kab un ki bazm mein aata tha daur-e-jam saqi ne kuchh mila na diya ho sharab mein jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale kyun bad-guman hun dost se dushman ke bab mein main muztarib hun wasl mein khauf-e-raqib se dala hai tum ko wahm ne kis pech-o-tab mein main aur hazz-e-wasl khuda-saz baat hai jaan nazr deni bhul gaya iztirab mein hai tewri chadhi hui andar naqab ke hai ek shikan padi hui tarf-e-naqab mein lakhon lagao ek churana nigah ka lakhon banaw ek bigadna itab mein wo nala dil mein khas ke barabar jagah na pae jis nala se shigaf pade aaftab mein wo sehr mudda-talabi mein na kaam aae jis sehr se safina rawan ho sarab mein 'ghaalib' chhuti sharab par ab bhi kabhi kabhi pita hun roz-e-abr o shab-e-mahtab mein