justuju ne teri har chand thaka rakkha hai

justuju ne teri har chand thaka rakkha hai
phir bhi kya gham ki isi mein to maza rakkha hai

kuchh to apni bhi tabiat hai gurezan un se
kuchh mizaj un ka bhi bar-dosh-e-hawa rakkha hai

kya tujhe ilm nahin teri raza ki khatir
main ne kis kis ko zamane mein khafa rakkha hai

jab nazar utthi rukh-e-yar pe ja kar thahri
jaise aankhon mein koi qibla-numa rakkha hai

kaun hun kya hun kahan hun mujhe malum nahin
zindagi tu ne ye kis mod pe la rakkha hai

nam ka aks bhi aaina-e-kirdar mein rakh
nam 'akhlaq' sahi nam mein kya rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close