ima-e-ghazal karti hain mausam ki adaen

ima-e-ghazal karti hain mausam ki adaen
ek mauj-tarannum ki hawas mein hain fazaen

naghmon ki zaban mein koi samjhe to bataen
kya chiz hai ye tarz ye tarhen ye adaen

roke na gae sina-e-khara se wo tufan
hain jin ko kinaron mein liye nang qabaen

aaine se hoti hain salahen ki kisi ko
jab khub mitana ho to kis tarah mitaen

aisi hi tere shahr mein hoti hai murawwat
aisi hi mere des mein hoti hain wafaen

dekhe koi aflak ka ye josh-e-tabahi
tinke ko darna ho to tufan uthaen

thahra hun isi baat pe main laiq-e-tazir
jis baat pe bakhshi gain auron ki khataen

diwanon ko duniya se ulajhne ki kahan tab
fursat ho to ek aur hi duniya na banaen

ye kaun se zindan ki girai gai diwar
ye kaun si tamir ki uthti hain binaen

ai maskan-e-khuban-e-zaman shahr-e-azizan
hum bhi kabhi bikne tere bazar mein aaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close