idhar udhar ke hawalon se mat darao mujhe sadak pe aao samundar mein aazmao mujhe mera wajud agar raste mein hail hai tum apni rah nikalo phalang jao mujhe siwae mere nahin koi jarehana qadam main ek haqir piyaada sahi badhao mujhe isi mein meri tumhaari najat muzmar hai ki main banaun tumhein aur tum mitao mujhe guzarne wala har ek lamha mera qatil hai khuda ke waste maro ise bachao mujhe jami hui hain meri lash par nigahen kyun main koi aakhiri khwahish nahin dabao mujhe khushi manate ho kahte ho mujh ko id 'nishat' magar main khun ki holi bhi hun jalao mujhe