ranj-o-malal-o-gham se kisi ko mafar nahin aazad qaid-e-fikr se koi bashar nahin dil mein lagi hai aag jigar par asar nahin ye dard aur hai jo idhar hai udhar nahin zarre mein kaise wusat-e-kaunain aa gai khud apni mardumak pe hamari nazar nahin khanke na un ki bazm ka saghar koi magar apni shikast shisha-e-dil ki khabar nahin dam-bhar ka fasla hai hayat-o-mamat mein manzil koi ab us se siwa mukhtasar nahin hichki shab-e-firaq ki kuchh kah rahi hai aur yani hamari yaad se wo be-khabar nahin piri mein khwab dekh raha hun shabab ke jaise abhi hai raat numud-e-sahar nahin qaid-e-sujud-e-dair-o-haram phir hai kya zarur wo la-makan hai us ka koi sang-e-dar nahin main dekhta hun sanat-e-sanna-e-rozgar dekhun tumhein ye apna mazaq-e-nazar nahin marne ke baad hoti hai mahsus ab kami bazm-e-adab mein 'shoala' tahammul digar nahin