ijazat kam thi jine ki magar mohlat ziyaada thi hamare pas marne ke liye fursat ziyaada thi tajjub mein to padta hi raha hai aaina akasr magar is bar us ki aankhon mein hairat ziyaada thi bulandi ke liye bas apni hi nazron se girna tha hamari kam-nasibi hum mein kuchh ghairat ziyaada thi jawan hone se pahle hi budhapa aa gaya hum par hamari muflisi par umr ki ujlat ziyaada thi zamane se alag rah kar bhi main shamil raha is mein mere inkar mein iqrar ki niyyat ziyaada thi mayassar muft mein the aasman ke chand tare tak zamin ke har khilaune ki magar qimat ziyaada thi wo dil se kam zaban hi se ziyaada baat karta tha jabhi us ke yahan gahrai kam wusat ziyaada thi