mujh ko tere suluk se koi gila na tha zahr ab pi raha tha magar lab-kusha na tha kanton se jism chhalni hai mera isi liye phulon se pyar karne ka kuchh tajraba na tha lakhon tamash-bin hain aur hum salib par ek waqt wo tha koi hamein dekhta na tha kya jaane us ki aankh mein kyun ashk aa gae chehre pe mere kuchh bhi to likha hua na tha duniya samajh na paegi majburiyan teri mujh ko to hai yaqin ki tu bewafa na tha kya tu ne chhod rakkha hai zulfen sanwarna itna to pahle main kabhi uljha hua na tha ghurbat ki chandni ne dikhae the raste hum ko kisi charagh se koi gila na tha yaadon ne dastaken to bahut bar din 'shakil' lekin kisi ke dil ka daricha khula na tha