ijz-e-khak-sari kyun fakhr-e-kaj-kulahi kya jab mohabbaten ki hain phir koi gawahi kya hum ruton ke mujrim hain har hawa ki nazron mein teri parsai kya meri be-gunahi kya tum to aankh wale the aks mil gaya hoga main sada ka be-chehra mera aaina hi kya wasl ka koi lamha raegan nahin lekin jo alag na karta ho aisa rasta hi kya shab-gazida logon ko nind se ulajhna hai raat ki masafat mein razm-e-subh-gahi kya jaane kab bigad jaen jaane kab sanwar jaen dast-e-kuza-gar mein hain apna aasra hi kya tum 'salim' shair ho shohraton pe mat jao masnad-e-faqiri pe khabt-e-baadshahi kya