ilahi aa na pade phir koi gham-e-taza uda uda sa hai ru-e-nigar ka ghaza abhi to kitne hain jin par haram hai saqi kahin ye tod na den mai-kade ka darwaza ab inqilab ki zad mein hai teri duniya bhi bahut bacha ke tu daman chali thi tannaza ye ek qatra-e-khun markaz-e-do-alam hai tumhein nahin hai dil-e-na-tawan ka andaza bhari bahaar mein ye meri chaak-damani na jaane kab ka uthana pada hai khamyaza